Kabhi sochta hoon ke main kuchh kahun
Kabhi sochta hoon ke main chup rahun
Aadmi jo kehta hai, aadmi jo sunta hai
Zindagi bhar woh sadayein peecha karti hain x (2)
Aadmi jo deta hai, aadmi jo leta hai
Zindagi bhar woh duayein peecha karti hain
Koyi bhi ho har khwaab to sachcha nahi hota
Koyi bhi ho har khwaab to sachcha nahi hota
Bohat zyada pyar bhi achcha nahi hota hai
Kabhi daaman chhudana ho to mushkil ho
Pyar ke rishte tootein to
Pyar ke raste chhootein to
Raaste mein phir wafayein peecha karti hain
Aadmi jo kehta hai, aadmi jo sunta hai
Zindagi bhar woh sadayein peecha karti hain
Kabhi kabhi mann dhoop ke kaaran tarasta hai
Kabhi kabhi mann dhoop ke kaaran tarasta hai
Kabhi kabhi phir jhoom ke sawan barasta hai
Palak jhapke yahan mausam badal jaye
Pyaas kabhi mit’ti nahi ek boond bhi milti nahi
Aur kabhi rimjhim ghatayein peecha karti hain
Aadmi jo kehta hai, aadmi jo sunta hai
Zindagi bhar woh sadayein peecha karti hain
Aadmi jo deta hai, aadmi jo leta hai
Zindagi bhar woh duayein peecha karti hain
In the rapidly advancing digital era, online platforms provide a convenient and efficient means to…
In the vast landscape of online gaming, few experiences rival the excitement and allure of…
Imagine you're standing at the edge of a vast ocean, the waves representing the dynamic…
Understanding market patterns and forecasting future price fluctuations is critical to effective investment in today's…
Ever wondered what unit-linked insurance plans (ULIPs) mean and how they can help you save…
एबॉट टैबलेट, जिसे एबॉट लेबोरेटरीज द्वारा निर्मित और वितरित किया जाता है, एक व्यापक रूप…