Kyon na hum tum
Chalein tedhe medhe se raston pe nange paon re
Chal bhatak le na banware
Kyon na hum tum ghire jaa ke
Almast pehchani rahon ke pare
Chal bhatak le na banware
In tim-timaati nigahon mein
In cham-chamaati adaon mein
Luke hue chhupe hue
Hain kya khayal baanware
Kyon na hum tum
Chalein zindagi ke nashe mein hi dhut sarfire
Chal bhatak le na banware
Kyon na hum tum talaashein
Bageechon mein fursat bhari chhaon mein
Chal bhatak le na banware
In gun-gunaati fizaon mein
In sar-saraati hawaon mein
Tukur tukur yun dekhe kya
Kya tera haal baanware
Na lafz kharch karna tum
Na lafz kharch hum karenge
Nazar ke kankadon se
Khamoshiyon ki khidkiyan
Yun todenge bina ke mast baat fir karenge
Na harf kharch karna tum
Na harf kharch hum karenge
Nazar ki syahi se likhenge
Tujhe hazaar chitthiyan
Khamosh khidkiyan tere pate pe bhej denge
Sun khan-khanaati hai zindagi
Le hamein bulaati hai zindagi
Jo karna hai woh aaj kar
Na isko taal baanware
Aa ha.. ha..
Kyon na hum tum
Chalein tedhe medhe se raston pe nange paon re
Chal bhatak le na banware
Kyon na hum tum ghire ja ke
Almast pehchani rahon ke pare
Chal bhatak le na banware
In tim-timaati nigahon mein
In cham-chamaati adaon mein
Luke hue chhupe hue
Hain kya khayal baanware
In the rapidly advancing digital era, online platforms provide a convenient and efficient means to…
In the vast landscape of online gaming, few experiences rival the excitement and allure of…
Imagine you're standing at the edge of a vast ocean, the waves representing the dynamic…
Understanding market patterns and forecasting future price fluctuations is critical to effective investment in today's…
Ever wondered what unit-linked insurance plans (ULIPs) mean and how they can help you save…
एबॉट टैबलेट, जिसे एबॉट लेबोरेटरीज द्वारा निर्मित और वितरित किया जाता है, एक व्यापक रूप…