Jaise Banjaare Ko Ghar Lyrics

Jise zindagi dhoondh rahi hai
Kya yeh woh makaam mera hai
Yahan chain se bas ruk jaaoon
Kyun dil yeh mujhe kehta hai
Jazbaat naye se mile hain
Jaane kya asar yeh hua hai
Ik aas mili phir mujhko
Jo kubool kisi ne kiya hai

Haan… kisi shayar ki ghazal
Jo de rooh ko sukun ke pal
Koi mujhko yoon mila hai
Jaise banjaare ko ghar
Naye mausam ki sehar
Ya sard mein do-pahar
Koi mujhko yoon mila hai
Jaise banjaare ko ghar

Also Read  RAABTA LYRICS - Agent Vinod

Hmm…

Jaise koi kinaara, deta ho sahara
Mujhe woh mila kisi mod par..
Koi raat ka tara, karta ho ujala..
Vaise hi roshan kare wo shehar
Dard mere woh bhula hi gaya
Kuchh aisa asar hua
Jeena mujhe phir se woh sikha rahaa..

Hmm.. jaise barish kar de tar
Ya marham dard par
Koi mujhko yoon mila hai
Jaise banjaare ko ghar
Naye mausam ki sehar
Ya sard mein do-pahar
Koi mujhko yoon mila hai
Jaise banjaare ko ghar

Muskaata yeh chehra, deta hai jo pehra
Jaane chhupaata kya dil ka samandar
Auron ko to hardam saaya deta hai
Woh dhoop mein hai khada khud magar
Chot lagi hai use phir kyun
Mehsoos mujhe ho raha
Dil tu bata de kya hai irada tera..

Also Read  www.khatrimaza.com 2017

Hmm.. Main parinda besabar
Thha udaa jo dar-badar
Koi mujhko yoon mila hai
Jaise banjaare ko ghar
Naye mausam ki sehar
Ya sard mein do-pahar
Koi mujhko yoon mila hai
Jaise banjaare ko ghar
Jaise banjaare ko ghar
Jaise banjaare ko ghar
Jaise banjaare ko ghar

Jaise Banjaare Ko Ghar Lyrics in english

error: Content is protected !!